Tuesday 19 December 2017

Jab Sarhadein Saraab Hogayi.

Meri Piyari Jamhooriat-e-Shayri urf The Rhyme Republic ke merey sarhadpaar doston,

  Umeed hai k aap sub khush-o-khurram hongey. Aur kiun na hon? December ki ek sard sham mein mohabbat k khatoot hawaon mein bikhair kar barson ki lagayi hui kayi aag ko bhuja gaye aap sub. Aur kuch aise bujhaya k uss hee raat ko Karachi ke baaghat, sarkein aur aasman thandey motioun se chamak uthe. Bijli ki garj hui. Yun tau Karachi ki fitrat hee ghair-mutawaqqey hai; hashtag-super-unpredictable, par Mausam ne yun rukh badla tau jaise badltey huey dilon ki gawahi di. Hum ek hue December ki ek sard shaam mein. Teh-e-dil se iss baat ki khushi hai.

  India mein muqeem hamarey tamam aziz, Abhijit, Rachneet, Aseem, Anasuya, Shabnam, Shashank, Nida, Taikhum, Honesih, Naina, Sumit, Krithika, Manjot, Ebad, Asad, Sahil, Isha, Manil, Yigesh, Umanath, aur wo tamam log jo khaas hamare liye Connaught Place aye, aap sub ka pyaar hum tak pohncha. Technology ki hamesha qadardaan rahungi jo ana aur nafrat ki qail nahi, aur naa hee filwaqt kisi hukumat ki pairookaar hai. Hum sub kisi na kisi shobey se munsalik naukri-pazeer log hain ya parhai mein mushghool taalib-e-ilm. In tamam-tar masroofiat k bawajood aap sub ne iss maqsad k barey mein pehle tau socha, phir iss par kaam kiya aur apna qeemti waqt nikal kar ek maqsad ko besh-qeemti banane mein sarf kia, ye ek
be-misaal jazba hai. Ek khoobsurat safar ki haseen ibtida!

 Sub se haseen cheez merey liye tha hum sub ki various ethnicities ka chalakta hua rang jo hamare lehjon mein iss trha ghulmil kar mohabbat ki chashni ban gaya.
Kuch tabsara karna chahungi kuch logo k andaaz-e-bayaan par

   Abhijit sahab aap ki ye nazm mainey pehle bhi parhi thi par khud aap ki zubaani sun kar bohat acha laga. Karachi aur Delhi tau beshak ek se huey, saath mujhe Andheri, Bandra ki sarkein, aur Johu Chowpati ki kesar pista kulfi ki bhi yaad ayi. Woh kulfi naseeb se milti hai!

Anasuya ki shayri mein main kho gayi. Alfaaz ke intekhaab ka jawab nahi aur unke andaaz-e-bayaan mein "nostalgia" ka ek ajeeb sa khoobsurat  ehsaas tha, jo mjhey dus saal pehle ke Delhi-trip ki yaad dila gaya. School-girl thi main tab aur debates, writing and trivia ke liye ayi thi. Kuch sathi thheen Delhi ki hamari tub jo ankhon se speech karti thi. Aap ke andaaz ne unki yaad dilayi and a feeling that I really want to know this lady more!

  Shabnam, jaisa naam waisa hee paya aapko. Ruk gaye thhe Karachi walon k dil aapki nazm ki adayegi sun kar. Hum tau sub goya Jigras huey!

  Aseem Sahab, kia khoob chuna apne kalam k bayaan k liye Ghalib ki haveli ko. Ta'ajub ki baat hai k bantwara Ghalib aur unke sung humarey tamam shu'ra aur adeeb ko kabhi baant na saka. Ghalib apke bhi aur hamare bhi hain. Manto aapke aur hamare. Faiz bhi hum dono k hee. Aur aap ki shayri sun kar ye ehsaas mustaqil hota raha k beshak only words and verses hold all power to erase our borders.

 Taikhum ki Lahore ki talab sun kar aankhein num si hogayi. That's how powerful it was. Aapas ki baat hai main khud bhi Lahore nahi gayi aaj tak Pakistan mein rehne k bawajood. Bara guilty feel hua. (My fellas here I bet are like "whaaaat? ").

  Nida aap ki GOT se muhabbat k charchey maine sunne zaroor, aapko Urdu shayri prhtey huey sun kar aankhein dang reh gaeen. Phir apne aap ko virtual-chaanta maar kar "Why you stereotype, pagal? khud ko dekha hai?!" kaha. Iss self-conversation ne dimagh khola. Aap se milne ki ek talab hai! Ye sun kar apnahiat se mehsoos hui k aap Drogo fan hain. This conversation deserves a trip to Delhi and the right kulhar ki chai!

 Honeish ke Jhang-i jazbaat, kamrey ki mehak ne mjhey pehle tau rulaya aur phir unke ash'aar ne behud hansaya. Bara dilchasp andaaz hai afsana-goi ka!

 Shashank aap kamyab huey..
 Border ke iss paar bheji muhabbat ne apna kaam kardia.
 Karachi k kuch pal ko hum sub ne aap k naam kardia !

Manil Jee, jis wajhe se aap Pakistan tashreef laye thhe, kuch aise hee thhe hum aye Delhi Janaab
Jo apnahiyiat mehsoos ki aap ne hamarey haan, waise hee Delhi akar lagi  mjhey Sarhadein Saraab
Shukriya!

  Isha ki kaweeta ne mjhey aj Karachi ki sardi mein pyaar ki pashmina aur ajrak pehna kar garam kia. Is garmaa-ish ka beshak koi watn nahi.

Sumit ji ne akar aisa English-ghazal sun kar Delhi k smog-free hone ki duaen dil se nikli.

Ebad ki landscapic poetry mein basey jazbaat ka husn <3

Krithika aap ko dekh kar bhi khayaal aya ke Lucknow sheher ki har ilaqey ki har gali ko ye madhur awaz sunna naseeb hou tau kitna hee acha hou.

Naina <3 We are all indeed unaware of some of our own prejudices till we face them. Your poem hit home. I do not know about anyone else but this neighbour here would love to play hopscotch with you one day!

Umanath your words gave me goosebumps and I shivered with every word. Abhijit Sahab ki iss baat se itefaaq karti hun keh Urdu feels so satisfying aur Urdu rooh ko choo jati hai magar aap k Angrezi asha'ar sun kar rooh kaanp gayi; such powerful words and expression.

Sahil sahab k dard bhari kahani ashqbaar kargayi aur Yogesh ne border se juri har diqqat ko bayan kia. aur Manjot Pra tuaddi gallan tau rula ditta mainu! Sun kar duaen bohat ki iss dil ne k paros ana jana asaan hojaye.

Rachneet ... Main baar baar video ko aapki shayri par play karke sunugi. Itni mithaas aap ke lehjey mein. Hindustan ki khoobsurati uske kayi rung hain. Inhi rungon mein shamil hamari trha trha ki kayee zubano se bani rangoli hai. Aap ne jis dilkush andaz se Punjabi nazm ko prha, wah! Mere paas alfaaz hee nahi aapki adayegi k husn ki tareef k liye!

Sidra Ahmad aapko hamesha lively hee dekha, par us video mein poem k dard ko jis trha aap ki ankhein bayaan kar rahi theen, dil k kuch taaron ko choo gayeen. Nandini aap ki tasweer facebook par jb bhi nazar ayi tab jaise zehen mein aap ki awaz ka ek taswwur tha. Aur Sunday ko aapki awaz suni tau jaise us tasawur ko haqeeqat mein tabdeel hote suna. Aap ki awaz mein tau jaise purey India bus raha hai. <3

Neend merey insani wajood par haawi horahi hai magar is rooh ka dil aap sub ko milney k liye zor zor se dharak kar issey jaga raha hai.

Is khat ko ek chhota sa nazrana smjhein.. Again, thankyou very much for everything you all did and said for us. May the Rhyme Republic progress.

Some day you, me and Delhi shall surely meet <3

Apna khayal rakhiyega aur in tamam jazbaat ka aur un tamam alfaaz ka jo shayri mein piro kar pyaar ki maala k anmol moti ban jatey hain..

Faqat aapki behud shukarguzaar Parosan,

Hafsa Mahida.



No comments:

Post a Comment