Saturday 9 December 2017

Hawaon ke Rang - "Colours of the Wind"


Pocahontas k Roznamchey se Iqtibas (From the Diary of Pocahontas)

"Hawaon ke Rang"

Tu sochta hai ke hun main ek jahil wahshi
Aur tu ney dekhi hogi dunya bohat beshak
Tau Shayd hoga aisa zaroor
Par ek baat smjhney main hai jhijak
K agar wahshi hun main tau phir hai bohat
Jissey aap hain na-aashna huzoor.

Tu sochta hai k jahan qadm ranja hon
Woh murda zameen hai milkiat teri hee
Par main janun ke har shajr o pathar o khalq
Ki hai rooh, zeest aur shanakht apni

Jo deikhein aur jo sochein teri hee tarha
Khayal mein tere bus wohi log hai log, magar
Seekhey ga tau tu bohat kuch naya
Chal kabhi tau kisi ajnabi k naqsh e qadm par

Chaand ko pukartey huey bheriye ki awaz sun
Dekh hanstey huey bun-bulao ka ang
Ban ja Rangrez aye Angez merey
Bikhair paani mein hawaon ke Rang

Aa bhaag sanobar k jangalon mein
Aur chakh zameen se  shahtoot aur aam
Bus kho ja tu dharti ki iss dolat mein
Aur na soch ke kia hai iss ka daam

Chhoota hai woh darakht asmaan ko ya nahin
Kaat dalo gey tau phir na jano gey ye kabhi

Aur sun na sako gey bheriya ki awaaz
Na dekh sako gey bunbulao ka hansta ang
Ho doodh si chamri teri ya peetal si meri
Chal gaayen hum paharon ki goonj k sang

Hogi milkiat ye zameen teri
Par hogi teri mehez zameen hee

Tau tu ban aye Angrez phir Rangrez merey sang
Aao bikharein pani se zameen mein Hawaon ke Rang"

Aj tumhari yaad ayi tau ye geet bhi. Tum zinda hotey tau shayd ye safar aasan hota. London ka jo khaaka tum ne bayaan kia tha ,us ki haqeeqat aj apni aankon se dekh rahi hun.  Badshah James k darbar mein meri hazri hai  aaj, John. Tumhari yaad aj k liye meri himmat hai aur ye Angrezi libaas zaibtan karna ek majboori

 Mjhey ijazat, faqat tumhari
Pocahontas.

-H.M.

NOTE: I read the post regarding the dearth of new Urdu poetry submissions for an event. Sadly, my Urdu contrbutions are few as well but I did want to do something about it. This is a feeble attempt. This is my Urdu-modified-translation of "Colours of the Wind" by Stephen Schwartz from the Disney animated classic Pocahontas. (https://www.youtube.com/watch?v=QstY2G9hRuc)

Pocahontas shall forever be the first Disney Princess I could completely relate to. She was fierce, fearless, had a restless soul, had major acceptance issues in the path of her happily-ever-after and made strong, brave choices.
"Look around you, this is where the path of hatred has brought us. THIS is the path I choose,  father. What would yours be?"- Pocahontas, 1995- Forever.

No comments:

Post a Comment